プレビューの再生
  • Family Drama Stories by Delhi Press, Season 10

  • 著者: Delhi Press
  • ナレーター: Varun Kulkarni
  • ポッドキャスト

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 10

著者: Delhi Press
ナレーター: Varun Kulkarni
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • प्रसाद : रधिया के साथ तांत्रिक ने क्या किया?
    2022/07/07
    Radhiya aur Dinesh ki shaadi ho chuki thi lekin unki koi santaan nahin thi. Dono mein kaafi pyar tha. Ek din Radhiya ki saas ne use ek taantrik ke paas bheja. Usne kaha ki taantrik uss par pada bura saaya hata dega aur phir vah bachcha paida kar sakegi. Lekin taantrik ne Radhiya ko kapde utaarne ke liye kaha aur uske saath sambandh bana liye. Radhiya agle din wapas laut gayi aur vah garbhawati ban gayi. Sab khush the ki bachcha ho gaya lekin Radhiya jaanti thi ki satya kya hai.
    続きを読む 一部表示
    6 分
  • आत्मकथा एक हीरोइन की
    2022/07/07
    Neelu kaafi sundar thi aur apni saheli ke kehne par usne ek beauty contest mein bhaag liya. Judge ban kar film duniya ke star Swar Kushal contest mein aaye aur unhone Neelu ko Mumbai bulaya. Neelu ne apne parivaar se keh diya ki vah filmon mein kaam karegi. Mumbai pohonch kar vah Swar Kushal se mili, usne Neelu ko guest house bulaya. Lekin wahan jaa kar Neelu ke saath kya hua? Kya use filmon mein kaam karne ke liye apne adarshon ko bhoolna padega?
    続きを読む 一部表示
    13 分
  • अधूरे प्यार की टीस: क्यों बिखर गई सीमा की गृहस्थी
    2022/07/07
    Rakesh ko achanak heart attack aaya aur hospital mein bharti hona pada. Yeh uska doosra heart attack tha aur uski dekhbhal karne ke liye koi nahin tha. Uski patni unke bete aur bahu ke saath America mein thi. Aise mushkil samay mein Rakesh ki dekhbhal uske dost ki vidhwa Anju aur uske bete Neeraj ne ki, Rakesh ki patni ko vah log kabhi achhe nahin lage. Lekin bimaar hone par aakhir Rakesh ka saath unhone hi nibhaya, uske apne parivaar ne nahin.
    続きを読む 一部表示
    17 分

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 10に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。