プレビューの再生
  • Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 10

  • 著者: Delhi Press
  • ナレーター: Sheetal Sawhney
  • ポッドキャスト

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 10

著者: Delhi Press
ナレーター: Sheetal Sawhney
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain?

    Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.

    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain?

Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.

©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • नो गिल्ट ट्रिप प्लीज
    2022/07/07
    Neha aur Kapil ek doosre se pyar karte the. Neha adhunik khayalon ki ladki thi aur use shareerik sambandh banaane mein koi aitraaz nahin tha. Yeh baat Kapil ko bohot pasand aayi. Kapil ne apne mata-pita ko Neha ke baare mein bata diya tha lekin abhi tak Neha ne apne parivaar se kuchh nahin kaha tha. Kapil usse shaadi karna chaahta tha, lekin Neha ka iraada kya tha? Kya vah shaadi ke liye taiyyar thi? Unka rishta aage badh sakega?
    続きを読む 一部表示
    38 分
  • न उम्र की सीमा हो
    2022/07/07
    Nalini ke pita ki mrityu kaafi saal pehle ho chuki thi. Uske badle Nalini ko naukri mil gayi thi. Uske chhote bhai-behen bhi the. Usne unki padhaai poori karwaayi aur videsh bheja. Ab Nalini ki ma chaahti thi ki vah unke saath rahe aur shaadi na kare. Iss beech uski zindagi mein Vikas aaya aur vah use pasand karne lagi thi. Vah usse umr mein chhota tha lekin dono shaadi karna chaahte the. Kya vah saathi ban sakenge aur apni zindagi saath mein bitaaenge?
    続きを読む 一部表示
    35 分
  • ओट 2 हाथों की
    2022/07/07
    Riya ek sundar aur padhi-likhi, achche sanskaaron ki ladki thi. Vah har cheez mein aage thi magar uske mata-pita uski shaadi ek aise ladke se karna chaahte the jiske paas paise the lekin vah vyavahar, sanskaar aur roop-rang mein Riya jaisa nahin tha. Shaadi ke baad vah Riya ke saath bura vyavahar karne laga aur usko maarta bhi tha. Riya bimaar padne lagi aur uski beti bhi hamesha darr mein jeeti thi. Kya Riya iss rishte se nikal kar apni pehchaan banaa sakegi?
    続きを読む 一部表示
    19 分

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 10に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。