Aamool Kranti Ki Chunauti [Radical Revolution Is the Key Challenge]
カートのアイテムが多すぎます
カートに追加できませんでした。
ウィッシュリストに追加できませんでした。
ほしい物リストの削除に失敗しました。
ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
Audible会員プラン 無料体験
-
ナレーター:
-
Babla Kochhar
-
著者:
-
J. Krishnamurti
このコンテンツについて
The Urgency of Change Krishnamurthy ki sarvadhik chunautipurva pustak hai, jaisa ki 1971 mein London se prakashit iske mool angrezi sankaran ke mukhpristh par ingit kiya gaya tha. Jeevan se jude vividh vishyon par iss pustak mein bebaaki ke saath prasn-darr pooche gaye hain aur Krishnamurthy ne badi baariki se unki padhtaal ki hai. Ve uttar dekar prasn ko nipta nahin dete, balki iss sah-sanvaad mein unn prasnon ke naye, undekhe pehluyon ko ujaagar karte chalet hain, aur saath hee pooch bhi liya karte hain ki saath-saath ki jaa rahi iss parakj ke dawraan prasnkarta ke antarjagat mein ghatit kya ho raha hai.
Prasnkarta - Aap mujhse pooch rahe hain ki ho kya raha hai? Mein toh bas aapko samajhne ki koshis kar raha hoon.
Krishnamurthy - Kya aap mujhe samajhne ki koshish kar rahe hain ya ki, jiss Vishay mein hum baat kar rahe hain, aap uski sacchayi ko ekh rahe hain jo mujh par nirbhar nahin karti? Yadi aap, jiss Vishay mein hum baat kar rahe hain, uski sacchayi ko vastutah dekh rahe hote hain, tab aap swayam apne guru hote hain, aur swayam ke hee aap shishya hote hain, jo ki apne aap ko samjhana hai. Ye samajh kisi aur se nahin seekhi ja sakti.
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2019 J. Krishnamurti, 2019 (P)2020 Audible, Inc.