Corporate Kabootar [Corporate Pigeon]
カートのアイテムが多すぎます
カートに追加できませんでした。
ウィッシュリストに追加できませんでした。
ほしい物リストの削除に失敗しました。
ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
Audible会員プラン 無料体験
-
ナレーター:
-
Trishaan
-
著者:
-
Shaan
このコンテンツについて
Kahaniyon ka yah sangrah jeevan ke vibhinn padaav aur rozmarra ki zindagi ke kuchh lamhon ki ek anokhi jhalak prastut karta hai. Kahin guzre zamaane ki yaadein bikhri padi hain, toh kahin bhavishya ko sanvaarne ki koshish hai. Gaon se shahar tak ka safar, baal awastha se kishore awastha ki raah, dosti aur prem ke beech nazar aate rishte, kahaniyaan yah saare pehlu dikhaati hain.
Vaadi mein Gulfam ka shikara deemak kha raha hai, aur Ahmad school ke paas chhooti gend dhoondhna chaahta hai. Curfew ke din unke liye kya khabar layenge? Agar Mumbai aur Dilli ki taraf chalein toh dono shahar tezi se badal rahe hain, lekin kya jagah ke naam badalne se unki pehchaan aur itihaas bhi badal jaate hain? Udhar Sehgal sahab Dilli chhod kar America nahin jaana chaahte kyunki unki pyari Yamuna ka phir kya hoga?
Baalak Sonu school mein rangon ka rahasya dhoondh raha hai. Usi ki umr ka Gulzar, desh-prem ki gutthi mein apni pehchaan dhoond raha hai. Adam ki kalam ka kya qissa hai jo duniya ko iss mod par le aaya hai? Aur aakhir thodi bahut khushi kise aur kaise haasil ho sakti hai? Kya hum sabki apni marzi hai jo hamari zindagi ko aage badhaati hai ya hum keval kathputliyaan hain? Corporate kabootaron aur cheelon ke beech ek lawaris parinda kya udaan bhar payega? Aur kya iss duniya ke pagalpan se ‘pagle Siddharth’ ko azadi milegi?
Rishton ko kareeb se pesh karti yah kahaniyaan, bhaavnaon ka samundar hain aur andhere aur roshni ke beech jagmagaati lehrein bhi.
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2017 Shan (P)2020 Audible, Inc.