Azad Hind

著者: Fever Stories
  • サマリー

  • Bharat ki azaadi ki ladai ki kuch ankahi kahaniyan sunne ke liye tayar ho jaiye, Azad Hind ke saath—ek deshbhakti series jo sahas, balidan aur vidroh ki adbhut kahaniyan le kar aayi hai. Yahan aapko milengi Tanaji Malusare ki veerta, Mangal Pandey ki kranti ki chingari, Rani Laxmi Bai ka atoot hausla, aur Bhagat Singh ke nidar sangharsh ki kahaniyan jo aapke dil ko chhoo jayengi. Aur in sab kahaniyon ko aur bhi zyada jeevant banayenge Ashutosh Rana, apne zabardast narration ke saath. Har episode aapko un sangharshon aur safaltaon ki duniya mein le jayega jo hamare azaadi ke yoddhaon ki yaad ko taza karenge aur aapko prerna denge. Aur bhi prerna se bhari kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories, jahan aapko Bharat ki azaadi ke veeron ki kahaniyon ka ek alag hi roop dekhne ko milega.
    Fever Stories
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Bharat ki azaadi ki ladai ki kuch ankahi kahaniyan sunne ke liye tayar ho jaiye, Azad Hind ke saath—ek deshbhakti series jo sahas, balidan aur vidroh ki adbhut kahaniyan le kar aayi hai. Yahan aapko milengi Tanaji Malusare ki veerta, Mangal Pandey ki kranti ki chingari, Rani Laxmi Bai ka atoot hausla, aur Bhagat Singh ke nidar sangharsh ki kahaniyan jo aapke dil ko chhoo jayengi. Aur in sab kahaniyon ko aur bhi zyada jeevant banayenge Ashutosh Rana, apne zabardast narration ke saath. Har episode aapko un sangharshon aur safaltaon ki duniya mein le jayega jo hamare azaadi ke yoddhaon ki yaad ko taza karenge aur aapko prerna denge. Aur bhi prerna se bhari kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories, jahan aapko Bharat ki azaadi ke veeron ki kahaniyon ka ek alag hi roop dekhne ko milega.
Fever Stories
エピソード
  • Azaadi Ki Pehli Ladai Ka Amar Krantikari
    2025/01/27
    Mangal Pandey ka naam Bharat ke itihaas me hamesha amar rahega. Ek sipahi jisne apni dharti aur dharm ke liye Firangiyon ke khilaf awaz uthai aur pehla swatantrata sangram shuru kiya. Court martial se lekar phaansi tak, unka har kadam ek kranti ka sandesh tha. Ashutosh Rana ki awaaz me suniye Bharat ke pehle krantikari ki kahani jo deshbhakti aur balidan ka prateek hai. Kranti ki aag, jo Barakpur se shuru hui, Bharat ke kone kone me fail gayi. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    8 分
  • Kranti Ki Mashaal
    2025/01/27
    Ek aag jo Mangal Pandey ne lagai, usne puri Bharat bhoomi ko ek kranti ke rang me rang diya. Meerut se lekar Dilli tak, Awadh se Kanpur tak, har ek sipahi ne Firangiyon ke khilaf apni awaaz uthai. Bahadur Shah Zafar ko Bharatiya samrat ghoshit karna aur Bharat ke har kone me kranti ki mashaal ko jagana, is gatha ka har pal aapko apne moolyon se jod dega. Suno Ashutosh Rana ki awaaz me ek amar kahani jo sirf ek sipahi ki nahi, balki Bharat ke pehle swatantrata sangram ki hai. Ye kahani hai deshbhakti ki, kranti ki, aur azaadi ki pehli mashaal ki. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    7 分
  • Azadi ki roshni ab bujne nahi wali
    2025/01/27
    Suno Mangal Pandey ki veer gatha, ek aise sipahi ki kahani jo Firangiyon ke samne na jhuka, na hi kabhi dara. Mangal Pandey ka vachan, "Azaadi ki jo roshni jal chuki hai, woh kabhi bujne nahi denge," aaj bhi Bharat ke itihaas mein amarna hai. Is episode mein suniye kaise Mangal Pandey ne apne jaan ki parwah kiye bina Firangiyon ka saamna kiya aur ek azaadi ke kranti ki mashaal jala di. Ashutosh Rana ki damdaar awaaz mein, Mangal Pandey ke kranti ka har woh mod samajhiye jo 1857 ki Kranti ke itihas ko amar banata hai. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    7 分
activate_buybox_copy_target_t1

Azad Hindに寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。