エピソード

  • Episode 1 - Apna Ghar

    Episode 1 - Apna Ghar

    Dil Local Season 2
    2022/02/11
    Lakshmi aur Vaibhav ko apne sapno ke ghar ki talaash thi. Issi talaash mein unhe mila ek bada sabak, voh sabak kya tha ?
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 2 - Wo Acchi Si Ladki
    2022/02/11
    Local train ki ek bogi mein behosh mili Seema ko jisne aspataal pahunchaya, usse Seema ne apni zindagi ki hakiqat batai. Seema ka ek hi sapna hai - koi ek baar dil se keh de, "tum ek acchi ladki ho". Aakhir Seema ko lekar duniya itni beraham kyun hai?
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 3 - 49 Rupye Ka Monthly Pass
    2022/02/11
    Mumbai local mein TC kabhi bacchon ka ticket nahin check karte hain. Phir bhi Vinayak bina ticket school nahin jaata hai. Vinayak ko ye pata nahin tha ki 49 rupye ka monthly paas ek din uski zindagi mein anokha jaadu karega
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 4 - Kitaab wala

    Episode 4 - Kitaab wala

    Dil Local Season 2
    2022/02/11
    Doosron ki zindagi ki kitab padhte- padhte hum akasar bhul jaate hain ki baaki duniya ke liye hum bhi ek kirdaar ho sakte hain. Vile Parle railway station par khade peechale 50 saal se badalti Mumbai ko dekh rahe kitab wale ki zindagi ki kahani ko rangmanch par utaarne ki koshish kar rahi Ketaki ke sath kuch aisa hi hua.
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • Episode 5 - Dadari to Dadar
    2022/02/11
    Satveer, Dadar mein sirf isliye shift hua kyunki iss jagah ka naam use apne kasbe Dadari ki tarah lagta tha. Ajnabi shehar mein har aadmi apna shehar dhundh raha hota hai lekin kya Satveer ko apna shehar mila?
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 6 - B Town Girl

    Episode 6 - B Town Girl

    Dil Local Season 2
    2022/02/11
    Jabalpur se aai Namrata ko yaqeen nahin tha ki yun hi raah chalte-chalte Mumbai ki ek mashhoor celebrity se uski gahari dosti ho jayegi. Kya zindagi mein kuch rishtey yun hi bn jaate hain ya phir unke peeche koi gahari wajah chuppi hoti hai?
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 7 - Banwari Kaka Mil Gaye
    2022/02/11

    Samay ke saath peeche chutt gayi kuch kahaaniyon ki kadiyan waqt jodhta hai. Train mein ghum ghum kar gaata ek aadmi nazar aaya toh meri zindagi ki tees saal pehle adhoori reh gayi kahani achanak kaise puri ho gayi?

    続きを読む 一部表示
    17 分
  • Episode 8 - Ye Mitthi Nadi hai
    2022/02/11

    Salil train se aate-jaate rojana Bandra ke gande naale ko dekhta hai. Usse yaqeen nahin hota ki yahi mashhoor mithi nadi hai . Kahani ke panne khulte hain aur Salil ko kyon ye ehsaas hota hai ki uski zindagi bilkul issi nadi ki tarah hai?

    続きを読む 一部表示
    18 分