プレビューの再生

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 13

著者: Delhi Press
ナレーター: Sheetal Sawhney
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • परिवर्तन : शिव आखिर क्यों था शर्मिंदा
    2022/07/21
    Shiv aur Kamla pati-patni the. Shiv apna kaafi khayal rakhta tha lekin Kamla ne apne shareer aur swaasth par dhyan dena band kar diya tha. Vah kaafi moti ho gayi thi aur use dekh kar Shiv ko uske prati bilkul aakarshan mehsoos nahin hota tha. Kamla ko kaafi saari bimaariyan bhi hone lagi. Ek din Kamla ne khud ko dekha aur use samajh mein aa gaya ki aakhir uska pati usse door kyun jaa raha tha aur doosri auraton ki taraf aakarshit kyun tha. Usne khud mein parivartan laane ka nishchay kiya.
    続きを読む 一部表示
    20 分
  • दामाद : अमित के सामने आई आशा की सच्चाई
    2022/07/21
    Asha aur Amit ki shaadi ho gayi thi. Lekin Asha uske saath achcha vyavahar nahin karti thi. Jab vah use mayike chhodne gaya toh use pata chala ki vah garbhawati hai. Usne Asha ko apna liya aur uske bachche ko bhi. Vah use wapas ghar le aaya aur usne yeh baat kisi ko nahin bataayi. Asha pehle se hi pareshaan thi aur use darr tha ki uska pati bhi uski zindagi mein aaye aur mardon ki tarah use chhod dega. Lekin vah alag tha.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • कुंआरे बदन का दर्द
    2022/07/21
    Jawed aur Shabnam ka talaq kayi saal pehle ho chuka tha. Ek din Shabnam ek hotel mein akele khana kha rahi thi jab usne Jawed ko agli table par dekha. Vah uske paas gayi aur dono baatein karne lage. Talaq ke baad ki apni zindagi ke baare mein dono ne ek doosre ko bataya. Kya yeh ek nayi dosti ki shuruaat thi? Kya dono naye sire se koi rishta bana sakenge? Kya vah pichhli yaadon ko bhula kar ek doosre ke jeevan mein bhaag le sakte hain?
    続きを読む 一部表示
    10 分

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 13に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。