エピソード

  • Episode 1: Jaydrath ki katha
    2021/09/10

    Kya aap jante hain ki mahabharat me ek patra aisa bhi tha jise vardan tha ki jo uska sar kaat girayega khud uska bhi sar visfot se fat jaayega aur kiski wajah se mahaveer hote huye bhi Abhimanyu ko veergati ko prapt hona pada? Is episode me aap sunenge Jaydrath ke bare me aisi hi rochak ansuni baten.

    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 2: Barbreek ki katha
    2021/10/14
    Kya aapne mahabharat ki katha me us veer yodhdha ka naam suna hai jisne apne kate huye sar ke sath mahabharat ke yudhdh ko iski samapti tak dekha? Ek aisa veer jiski mata ne hamesha yahi sikhaya ki jo har raha ho uska sath dena aur agar shri Krishn maya jal na bunte to aaj isi veer ki wajah se mahabharat ki katha kuch alag hoti. Is episode me ham usi veer Barbreek ki katha sunenge
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 3: Shalya ki katha
    2021/10/14
    Kya aap jante hain ki mahabharat ke yudhdh ke antim din kauravon ki sena ke senaptai kaun the? Kya aap jante hain ki Karn ke sarthi kaun the aur Karn ke sarthi rahte huye bhi ve use hatotsahit kyon kar rahe the? Inhi sawalon ke jawab ke liye aap suniye is episode ko aur janiye Raja Shalya ke bare me
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 4: Vidur ki Katha
    2021/10/14
    Kya aap jante hain ki ek shrap ke karan nyay ke devta yamraj ko ek insan ke roop me janm lena pada tha aur apne samne tamam anyay hote huye dekhne ke baawjood ve kuch nahi kar paaye the? Is episode me suniye ki akhir Vidur kaun the aur unki Vidur neeti ki itni charcha kyon hoti hai?
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 5: Paundrak ki katha
    2021/10/14
    Kya aapne kabhi mahabharat ke us patra ki kahani suni hai jisne khud ko asli shri krishna ghoshit kar rakha tha aur unke jaisa hi vesh bhi bana kar rakhta tha. Yahi nahi uska Aatmvishwas is had tak tha ki usne shri krishna ko yudhdh ki chunauti di aur unse ladne bhi pahunch gaya. Is episode me suniye is raja ki kahani jo bahut rochak bhi hai
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 6: Amba ki katha
    2021/10/14
    Kya aap jante hain ki mahabharat ke ek Mahan patra pitamah Bheeshm ki mrityu ka karan ek aisi stree bani jisne apne pichle janm se Bheeshm Se babut vinti ki thi ki ve use apna len, use apni patni bana len. Is episode me aap usi stree Amba ke bare me janenge aur janenge ki kaise apna badla lene ke liye usne ek janm se doosre janm Ki yatra ki.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 7: Drupad ki katha
    2021/10/14
    Ye ek aise raja ki kahani hai jisne bachpan me apne sathi se ek wayada kiya aur bade hone par us wayade ko bhool gaya. Bhoola to bhoola yad dilane par usi sathi ko bahut apmanit bhi kiya. Is episode me ham sunenge raja Drupad ki katha aur ye janenge ki kaise unhe apni is bhool ki keemat chukani padi thi
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 8: Ashwathama ki katha
    2021/10/14
    Is episode me ham mahabharat ke us paatra ke bare me janenge jiske baare me kaha jata hai ki vo aaj tak jeewit hai aur apne kiye kukarmon ka fal bhugat raha hai. Ek aisa patra jo Arjun ke saman hi veer aur vardani tha leki jisne badla lene ke junoon me bahut galat kam kar diye. Suniye Ashwathama ke baare me aur jaaniye uske bure karmon ke baare me
    続きを読む 一部表示
    15 分