プレビューの再生

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 13

著者: Delhi Press
ナレーター: June Banerjee, Kumud Soney
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • सोच का विस्तार : रिया के फोन से कैसे गायब हुई सुरेश की खुशी
    2022/10/06
    Mrs Sanyal aur Mrs Avinash ki soch mein bohot antar tha. Mrs Avinash bete bahu ko kareeb aane ka prayas karti aur doosri or Mrs Sanyal bete bahu ke nakhre sehna zaroori na samajhti thi, unhone shaadi ke baad se hi bete bahu ko alag ghar mein rehne ke salah de di thi. Baad mein jab bahu pregnant hui tab bhi use apne ghar mein rakhne ko taiyar nahi hui, antim 3 mahine mein majbooran unke paas gayi par unka waha man na laga aur lagta raha ki kaam bohot badh gaya hai. Mrs Avinash ne hamesha bete bahu ko paas rakha aur jab bahu pregnant hui toh uski bohot khushi se dekhbhal ki. Mrs Sanyal jab bhi Mrs Avinash se milti toh wo bohot khush nazar aati, is beech jab Mrs Avinash ke tabyat kharab hui toh bete bahu ne aake unki dekhbhal ki, iske saath unki soch badal gayi aur unhone apni bahu ko apne ghar mein rok liya.
    続きを読む 一部表示
    20 分
  • अनजाने पल : भाग- सावित्री से क्यों विमुख होना चाहता था आनंद?
    2022/10/06
    Savitri adhunik khayalo ki padhi likhi mahila thi, Aakash se shaadi ke baad usne apni padhai band nahi ki aur Phd ke liye mehnat karne lagi. Aakash ko ye sab pasand nahi tha wo chahta tha ki Savitri beti ko sambhale aur naukri na kare. Ek baar dono ke beech takrar hui toh Aakash Savitri ko bina bataya Neelima ko lekar behen ke paas Jaipur chala gaya. Savitri ko dhakka laga magar usne apni padhai jaari rakhi aur usse jald ek college mein job mili gayi, ab wo apni beti ke saath rehna chahti thi toh wo ek din Jaipur gayi, waha uski pati aur uski behen ne uski khoob bezati ki aur Neelima ne bhi saath chalne se inkar kar diya. Waqt guzarne laga, ek din use Neelima ek bache ke saath aspatal ke bahar dikhi toh dono bohot ro kar gale lag gaye. Pata chala ki Aakash aspatal mein bharti hai. Savitri ke jaane ke baad Aakash ne dusri shaadi kar li thi fir doosri maa ne Neelima ko pratadit karna shuru kar diya. Ek din ek car durgahtna mein uski doosri biwi ki maut ho gayi aur Aakash ghayal hokar aspatal mein mar gaya. Ab Neelima aur uska 3 saal ka sautela bhai besahara the. Savitri dono ko ghar le aay. Neelima ko apne kiye par pachtava tha.
    続きを読む 一部表示
    37 分
  • दूसरी शादी
    2022/10/06
    Shaadi ke 6 saal baad bhi jab Nargis aur Naushad ke yaha koi bacha nahi hua toh Naushad doosri shaadi ke baare mein sochne laga. Usne Nargis ki udaasi ko nazarandaaz kar doosri shaadi ka faisla kar liya, Nargis ki tabyat bigadhne lafi toh wo use doctor ke paas le gaya magar ye bhi nahi pucha ki use kya hua hai aur agle din shaadi karne gaon chala gaya. Doosri shaadi ke baad 20-25 din usne apni doosri biwi Farzana ke saath bahut maze kiye fir Nargis ka khayal aaya toh wapas lautne laga. Raaste mein use doctor mile toh unhone use mubarkbaad di, ghar pohoch ke use pata chala ki wo maa bane waali hai. Ab Naushad ki 2 patniyan aur 6 bache hai, nayi patni usse baat baat pe jhagadti hai aur wo yehi sochta hai ki kaash usne doosri shaadi na ki hoti.
    続きを読む 一部表示
    13 分

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 13に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。