検索キーワード: 著者 "Peeyush Singh" すべてのカテゴリー
-
-
Aapda se khud kaise nipten
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Aapda ek aisa shabd hai jisse ham sab darte hain kyonki ye apne sath hamesha vinash lekar aata hai. Aapda chhoti ho ya badi apne raste me aane wali har cheej ko tabah karti chalti hai. Kuch aapdayen kudarati hain jinme hamara kuch jor nahi chalta to kuch insani swarth ke karan aati hain. Aapda koi bhi ho use tala nahi ja sakta lekin agar hame jankari ho to bachav ke tareeke pata hon tab ham khud ko aur apne aas pas ke logon ko surakshit rakh sakte hain. Jyadatar aapdayen achanak se hi aati hain isliye prabhavit logon tak madad pahuchne me bahut samay lag jaata hai aur yahi samay sabse bada karan banta hai aapda se jane wali janon ki sankhya badhane me. Is show ke jariye hamara prayas hai ki ham aap tak alag alag aapdaon ke bare me vistar se jankari pahuchayen aur aapko har sambhav bachav ke tareeke batayen taki aap khud bhi surakshit rahe aur doosron tak madad ka hath pahuncha saken.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
-
-
Mahabharat ke 25 Aanjaan Patra
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Mahabharat ek aisa mahakavya hai jiske har adhyay me ek mahakavya samaya hai. Ye insani swarth, dwesh, prem, jalan, daya aur veerta jaisi har bhawana se seencha hua vat vriksh hai. Isme har vo ras hai, rahasya hai jo iske pathak ko khud se bandhe rakhta hai. Ye bas ek kahani nahi hai ye samay ke kapaal par likha ek dastawez hai. Ek aaina hai jisme ham khud ko dekh sakte hain ki ham dharm ke pale me khade hain ya adharm ke.Is mahagatha me manushya hain, devta hain, asur hain aur lagbhag is dharti par paye jaane wale har jeew ki ek bhumika hai. Ye mahakavya hame dharm, raajneeti ka aisa gyan deta hai jo aur kahin nahi milta. Isme geeta ka gyan hai jise swayam yogeshwar shri Krishna ne Arjun ke bahane ham sabko diya hai.Ye mahagatha hame jeewan jeene ke sahi tareeke sikhati hai, agar ham seekhna chahen to Is show ke jariye hamara prayas rahega ki ham mahabharat ke un sune unsune patron se aapko mila saken jinke baare me ham vistar se nahi jante. Unke vyaktitva ko sahi se samjhane ke sath Mahabharat ke yudhdh me unki bhumika ko bhi samajh saken.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
-
-
Karein koshish, Banein jyotish
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Karen koshish, bane Jyotish : Jyotish vigyan utna hi purana hai jitni purani hamari sabhyata hai. Vigyan ke ek ang ki tarah hi iska dayra bhi bahut bada hai aur bahut gahra bhi. Jyotish shastra apne bheetar itna gyan aur itni sambhavnayen samete huye hain jinhe samajhne ke liye bahut dhairya aur samay chahiye hota hai. Is series ke jariye hamara prayas hai ki jyotishshastra ki vo tamam basic jankariyan aap tak pahuncha saken jinki madad se aap is bahut mushkil lagne wale vishay ko aasani se samajh saken aur iski madad se apne jeewan se jude prashno ke uttar pa saken sath hi koi aapko jyotish ke naam par aage se dara na sake na hi aapka galat fayda utha sake.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
-
-
Vrat ewam Tyohar : Sampoorna kathasaar
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Vrat aur tyohar hamari bharatiya sanskriti ka bahut mahatvpoorn hissa hain. Ye hamare desh ke har hisse me, har dharm aur sampraday me manaye jaate hain. Ye sirf dharmik aastha ke prateek bhar nahi hain, ye hamari amoolya saanskritik dharohar bhi hain. Ye vrat, ye tyohar humein aapas me jodte hain, jeewan me rang bharte hain, prakriti ke kareeb rakhte hain.Har vrat aur tyohar ki apni ek katha hai jise janna bahut zaroori hai kyonki is katha me is vrat ka mahatva hai, vrat ko karne ki vidhi aur aisi sari baatein hain jinse us vrat ko lekar humare mann me jitne bhi sanshay ho, ve door ho jaate hain. In vraton ki kahani ko ek peedhi se doosri peedhi tak pahunchaya jana isliye bhi zaroori hai kyonki ab humara samajik dhancha badal raha hai. Pariwar ekal hain isliye koi bada boodha nahin jo in sari baton ko nai peedhi ko sikha ya suna sake. Ye show ek prayas hai isi dharohar ko aap tak pahunchane ka taaki aap isey aage badha saken aur humari paramparaon ko bachane me yogdan de sakein.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
-
-
Hindu mantron se badlen jeewan
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Mantra hamari sanatan sanskriti men rishiyon ke diye aise anokhe uphar hain jinme aseemit shaktiyan samai hain, jinke jaap se ham jeewan ki bahut sari samasyaon se bach sakte hain, mantra man ko majboot karte hain,tan ki shakti badhate hain. Mantra hame jeewan ko jeene ka, jeewan me aane wali samasyaon ko samjhne ka naya nazariya dete hain.Ye show ek prayas hai apni sanskriti ki jadon tak pahunchane ka, mantron tak pahunchne ka taaki ham sab mantron ki shaktiyon ka laabh le saken, apne jeewan ko aur behtar bana saken.hamne koshish ki hai ki ham kuch aise mantra aap tak pahucha saken jinmen sabke liye samadhan chupa ho, kuch achchi sehat ke liye mantra, kuch ghar pariwar ke rishte sambhalne ke mantra,kuch arthik sthiti sudharne ke to kuch man ko sambhalne ke mantra is show me shamil hain.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
-
-
Shraap ki Gathaayien
- 著者: Peeyush Singh
- オリジナル版
-
総合評価
-
ナレーション
-
ストーリー
Shraap shabd sunkar hi man me ek dar sa paida hota kyonki shrap koi tabhi kisi ko deta hai jab bahut dukh ya gusse me hota hai. Hamne apne badon se hamesha yahi suna ki kisi ko kabhi bina wajah dukh nahi dena chahiye warna vo hame shrap de sakte hain. Shrap ek tarah ki urja hi hai jo kisi gahri bhawna se upajati hai ye bhawana kisi ka dil dukhne se ya unke samman ko thes lagne se paida ho sakti hai. Shrapon ka ek doosra pahlu bhi hai, agar aap is series ke har episode ko dhyan se sunenge to payenge ki har shrap kahin na kahin aane wale bhavishya ki ghatnaon ka karan bana tha. Kuch shrapon ki wajah se to yug badal gaye, kuch shrap is dharti par mahan kamon me karan bane aur kuch shrap logon ki behtari ka karan bhi bane. Is show me jitni bhi shrap mathayen hain har katha hame ek seekh deti hai, sahi tareeke se jeewan jeene ki aur doosron ka samman karne ki.Ham seekhte hain ki takat aur pad sirf samay ki baaten hain, aaj ek ke pas hain kal kisi aur ke pas honge, isliye inka ghamand karke kuch bhi galat kam. Nahin karna chahiye warna shrap me vo shakti hai jo ishwar ko bhi jhuka deti hai. Ye show ek tarah se shrapon ke peeche ke karanon ko samjhane aur hamare dharmik itihas ko badalne me unki bhoomima ki gahrai se padtal karta hai.
カートのアイテムが多すぎます
ご購入は五十タイトルがカートに入っている場合のみです。カートに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ウィッシュリストに追加できませんでした。
しばらく経ってから再度お試しください。ほしい物リストの削除に失敗しました。
しばらく経ってから再度お試しください。ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-